Wednesday, December 19, 2007

Kuch bhi nahi.. :)

Socha nahi achha-bura, Dekha-suna kuch bhi nahi..
Maanga khuda se raat din, Tere siwa.. kuch bhi nahi!

Socha tujhe, Dekha tujhe, Chaha tujhe, Puja tujhe..
Meri khata - meri wafa, Teri khata.. kuch bhi nahi!

Jis par humari aankhon ne, Moti bichhaye raat bhar..
Bheja wohi kagaz use, Humne likha.. kuch bhi nahi!

Shaam ki dehleez par, Baithe rahe woh der tak..
Aankhon se ki baantein bahut, Munh se kaha.. kuch bhi nahi!
-Basheer Badr


The latest sensation (at least for me).. Hadn't really heard about Dr. Basheer Badr until recently when one of my friends recited his ghazal.. and that time all I could say was:


Jahaan luta doon tere andaaz par, Teri ghazal par, teri aawaz par..
Par dene ke liye mere paas, 'Wah wah' ke siwa.. kuch bhi nahi!
- Gagan

Howztat? ;)

No comments: