Thursday, March 6, 2008

Migration!

Hi..
I'm migrating to WordPress @ http://gaganmalik.wordpress.com ;)

Tuesday, March 4, 2008

Aapka saath haseen lage..

Aap aate hain toh sehra mein barsaat aati hai..
Jo chale jaayein app, toh tofaan bhi viraan sa lage..

Aap hote hain saath toh dard bhi jhoom uthta hai..
Jo na ho aapka saath, toh khushi bhi ehsaan si lage..

Aapki nigahon ke nashe mein doob jaane ko jee karta hai..
Nazar jo fer lein aap, toh pyaas bhi na lage..

Aap sharmate hain toh hansi khil uthti hai..
Jo rooth jaayein app, toh dukh bhi gumsum lage..

Aapke chehre se ujaale mein roshni hoti hai..
Parda jo kar lein aap, amavas mein andhera hone lage..

Aapki tirchi nazaron se suraj bhi katrata hai..
Palkein jo jhukadein aap, toh haya bhi sharmane lage..

Aapki adaaon se bahaaron mein bahaar aati hai..
Zara sa muskura jo dein aap, khushboo bhi mehek uthe..

Aapka deedar agar na ho, toh jeene ki tamanna nahi hoti..
Kareeb se jo guzar lein aap, Khuda kasam! Dam nikalne lage..

Aap pukarein jab 'Gagan' naam mera, toh Asmaan bhi itrata hai..
Khamosh jab hon aap, toh kayanat bhi sooni lage..

Aap poochein yeh meri tanhayi se, tanha woh kitni hai..
Bheed mein bhi hai akeli.. Bas! Aap hi ka saath haseen lage..
- Gagan

The irony:
Aap hote toh ho saath, but najaane kyun phir bhi aapki kami si lage..

Ek pari ke liye :)


Monday, February 18, 2008

Khubsoorat hai woh itna.. (sach mein) :D

Khubsoorat hai woh itna, saha nahi jaata..

Kaise main bataon kitna pyar uss-se karta hoon..
Isharon se yeh uuse samjhane ki koshish karta hoon..
Zuban se toh kuch bhi usko, kaha nahi jaata..

Chahat hai yeh aeisi, ki always uski yaad aaye..
Palkein jab bhi jhukaon, chehra uska nazar aaye..
Ek pal bhi dekhe bina usko, raha nahi jaata..

Jis tarah phool se khushboo juda na ki jaaye..
Kareeb woh rahe mere itna, aur umar guzar jaaye..
Zara sa dur bhi uss-se, ab raha nahi jata..

Lamha tab tham jaaye, jab paas mere woh ho..
Raatbhar baatein hum karein, mulaquat aiesi ho..
Magar milne ka toh uss-se, bahana nahi aata..

Somehow I have this feeling in the back of my mind..
Jaanta hoon nahi ho sakta woh mera 'cause I don't see any sign..
Kaise iss dil ko yeh samjhaon, manaya nahi jaata..

Mohabbat kitni hai yeh unse, kaha nahi jata..
Khubsoorat hai woh itna, saha nahi jaata..
Kaise hum khud ko roklein, raha nahi jaata..
- Gagan

Inspiration for coming up with this..? I had these lines going in my head since a few days,
"Jaan-e-man jaan-e-jigar, Hota main shayar agar.. Kehta ghazal teri adaon par.."

And then I thought, if it is songs that I'm gonna go with, there is another one that says,
"Main shayar toh nahin.. Magar aye haseen.. Jab se dekha, Maine tujhko, mujhko, Shayari aa gayi.." :)

Why not assert this 'true' for myself? And so here it was..

Well, there are two inspirations:

1. Woh hai ek pyari si Ghazal.. Sochta hoon jise, Dekhta hoon jise, Chahta hoon jise.. But the worst part being, Na kuch keh paaon jis-se..

2. and if you would have noticed, this is based on a song from the movie Rog - "Khubsoorat hai woh itna, saha nahi jaata.."

Thanks Buddy, for recommending it :)


Tuesday, January 1, 2008

..and here we are


so.. whats your resolution?